Joh Bayaan Karne Laga Hu Dosto

 Joh bayaan karne laga hu dosto, aaj ka mera bayaan Hussain hai,

Joh Khuda hai meherbaan jahaan ka, us Khuda ka meherbaan Hussain hai.


Yeh doh mehmaan aise hai, bade rutba hai dono ka,

Nabi arshe moallah par, Khuda Karbobala pohonchna,

Mustafa ke mezbaan tha kibriya, 

Kibriya ka mezbaan Hussain hai,

Joh bayaan karne laga hu dosto, aaj ka mera bayaan Hussain hai.


Ali ka laal joh kehte hai woh tum baat likh daalo, 

Isse ek bhi na dena tha magar ab saath (7) likh daalo,

Ab talak iski hamari baat thi, haa magar ab darmiyan Hussain hai,

Joh bayaan karne laga hu dosto, aaj ka mera bayaan Hussain hai.


Diya hai baal o par sheh ne tha main laachar sadiyon se,

Kaha uth kar yeh fitrus ne takabbur mein farishton se, 

Bas takabbur usko zeb deta hai, hota jis pe meherban Hussain hai.

Joh bayaan karne laga hu dosto, aaj ka mera bayaan Hussain hai.


Namaaz e ishq padhte hain baraf baari ho sardi ho,

Yeh matam khulla karte hai bhale, jitni bhi garmi ho, 

Matami pe mausamon ka kya asar, Matami ka sayeban Hussain hai,

Joh bayaan karne laga hu dosto, aaj ka mera bayaan Hussain hai.


Yahi ehsaan hai hum par, Ali ke laadle bete,

Mile hum ko azadari dua e Saniye Zehra,

Ab toh taaba Mehdi e dauraan tak, bas hamara badshah Hussain hai,

Joh bayaan karne laga hu dosto, aaj ka mera bayaan Hussain hai.

Comments

Popular posts from this blog

Abbas Kate Haaton Ka Ejaz Dikha Do

Hum Ali Ke Deewane

Bekason Ke Madadgar Maula Ali