Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar (x2)
Vila ka jaam pilaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Sawaal poocha gaya kaun hai, Imam tera (x2)
Kafan hataake bataaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Dar e Batool se futras ko, par milenge zaroor (x2)
Falak se aaj, woh aaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Alam ko thaamke chalna, koi mazaak nahi (x2)
Alam ko humne, uthaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Qadam uthaaye toh bas saamne, tha arsh e bari (x2)
Ke maa ne chalna, sikhaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar.
Nabi yeh sonch rahe the, passe hijab hai kaun (x2)
Ali ne haath, milaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Farishte kehne lage bas,Ali ke baat karo (x2)
Unhe qaseeda, sunaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Ali ke naam se lagti thi, aag seene mein (x2)
Muqasarro ko, jalaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Yeh Karbala hai ke Meraaj, Mustufa hai Batool (x2)
Khuda ne isko, sajaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Vila ka jaam pilaaya hai, ya Ali kehkar,
Lehad Mein Hum Ko Jagaaya Ya Ali Kehkar
Comments
Post a Comment