Ali Mushkil Kusha
Ali Muskhil Kusha
Ali Hajat Rawaa
Ali Noor e Khuda – YA ALI YA ALI YA ALI
Tuhi aaqa tuhi mola hai, tu hi rehbar Ali
Sab wali saare qalandar hain tere nokarali
Meri sunle dua
Mujhe dar pe bula
Me hoon banda tera – YA ALI
Mushkilo(n) mein hai pukaara ambiyaaon ne tujhe
Mushkilo(n) mein yaad aaye naam tera hi mujhe
Koi waaris mera
Nahin tere siwa
Tu hi hai aasra – YA ALI
Jo bhi hai dono jahaa(n) mein sab hai tere waste
Hain tujhe maloom saare aasmaa(n) ke raaste
Yehi saabit huwa
Makee(n) tu arsh ka
Tera yeh martaba – YA ALI
Saamne marhab ke khaybar me koi jab na gaya
Tujhko Ahmed ne pukara aur tu haazir huwa
Alam tujhko mila
Kiya khaybar fata
Yehi goonji sada – YA ALI
Dast e Haider thaam kar bole nabi sab se suno
Aaj mere saath milkar sab Ali mola kaho
Koi jalne laga
Koi khush hogaya
Magar sab ne kahaa – YA ALI
Daar per meesum se bola dushmane shere jail
Jaa(n) agar pyari hai tujhko chor de zikr e Ali
Magar meesum tera
Qaza se naa dara
Sada deta raha – YA ALI
Tu Karim e Do Jahaa(n) hai aur tu hi Zeeshan hai
Ham tere zaakir hai mola ye tera ehsaan hai
Qaseeda jab parha
Malango ne suna
Yehi naara laga – YA ALI
Comments
Post a Comment