Ali Mushkil Kusha
Ali Muskhil Kusha Ali Hajat Rawaa Ali Noor e Khuda – YA ALI YA ALI YA ALI Tuhi aaqa tuhi mola hai, tu hi rehbar Ali Sab wali saare qalandar hain tere nokarali Meri sunle dua Mujhe dar pe bula Me hoon banda tera – YA ALI Mushkilo(n) mein hai pukaara ambiyaaon ne tujhe Mushkilo(n) mein yaad aaye naam tera hi mujhe Koi waaris mera Nahin tere siwa Tu hi hai aasra – YA ALI Jo bhi hai dono jahaa(n) mein sab hai tere waste Hain tujhe maloom saare aasmaa(n) ke raaste Yehi saabit huwa Makee(n) tu arsh ka Tera yeh martaba – YA ALI Saamne marhab ke khaybar me koi jab na gaya Tujhko Ahmed ne pukara aur tu haazir huwa Alam tujhko mila Kiya khaybar fata Yehi goonji sada – YA ALI Dast e Haider thaam kar bole nabi sab se suno Aaj mere saath milkar sab Ali mola kaho Koi jalne laga Koi khush hogaya Magar sab ne kahaa – YA ALI Daar per meesum se bola dushmane shere jail Jaa(n) agar pyari hai tujhko chor de zikr e Ali Magar meesum tera Qaza se naa dara Sada d...