Ali Ali Moula (2018)

Ali ali.. Ali ali.. Ali ali.. Ali ali.. Ali ali.. x2
Iss baat pe kyun kar na kare faqr mawali, Soncha nahi bas humne toh maana hai Ali ko..
Batlati hai kaabe mein yeh moujood daraarein, Iss ghar ne bobot toot ke chaha hai Ali ko.......
Ali ali moula.. Ali ali moula.......
Masjid boli, mimbar bola.. 13 rajab ko kaaba bola...
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola..

Charo taraf midhat ki fazayein, aao zamane bharko sajayein..
Aaj zahoor hai moula Ali ka, kyun na khushi mein Naara lagayein...
Wjd mein aakar naara lagaya..
Ali ali moula, haider moula...
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

13 rajab ki bazm sajayee, khoob hui phir madha sarayee..
Ishq tera darweish banaye, ishq tera baqshy danayee..
Khoob wila ka jaam piya tha,
Phir bhi nashe me mai nahi dola..
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Tune namaz e ishq sikhayee, tune hume tauheed batayee..
Koun bayaan kar paayega moula, teri fazeelat teri badaai..
Padhne laga woh tera qasida,
Jab bhi kabhi quran ko khola..
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Jhute khuda'o walo aao, jhute khuda'o ko lejao..
Agaya ghar ka malik dekho, Apni dukaan kahi aaur laga'o...
Aaygai andar madar e haider,
Jhoom ke kaaba phir yahi bola..
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Marhab se ladte bhi dekha, tanha use roote bhi dekha..
Sajda usey karte bhi dekha, sajda usey hote bhi dekha..
Sajid aur masjood Ali hai,
Raaz yehi salman ne khola..
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Rasam e wafa duniya mein chaladi, ishq ki woh tehzeeb sikhadi..
Karta raha duniya mein manadi, meesam tha iss wird ka aadi..
Kaati zaban jab ehle sitam ne,
Daar pe jaakar meesam bola..
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Padhte huye mai nehje balaga, ishq me tere soonch raha tha..
Kya hai teri mairaaj batade, tujhko sare mehraj bhi dekha...
Mere lahu me mere junoon mein,
Tere ishaq ne hi rass ghola..
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Mulk e adam par teri hukumat, khuld o iram par teri hukumat..
Marzi e rab ka malik tu hai, loho kalam par teri hukumat...
Duniya tujhko rab kehti hai,
Jab jiska emaan tatola...
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Anamta ka raaz b tu hai, nabiyo ka damsaz b tu hai..
Mazhar ka emaan hai moula, atif ki aawaz b tu hai...
Madha sarah farhan hua toh,
Kehne laga darwaisho ka tola..
Ali ali moula x2
Saath zabaan ke dil yahi bola..
Ali ali moula x2
13 rajab ko Kaaba bola

Comments

Popular posts from this blog

Abbas Kate Haaton Ka Ejaz Dikha Do

Hum Ali Ke Deewane

Bekason Ke Madadgar Maula Ali