Mujhe Molai Banana


Aise parwan chadhana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Mujhko dena ye khazana
mujhe maulai banana, aye meri maa


Maa mujhe khoob padhana, aur namazi bhi banana..(2)
aur tabarra bhi sikhana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Kar du duniya ko mai qaael, aise maula ke fazael..(2)
mujhe lori me sunana
mujhe maulai banana, aye meri maa

 Maa mujhe jab bhi sulana, marsiye nauhe sunana..(2)
Ya Ali kehke jagana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Aaye jab aath moharram, to mere waaste paiham..(2)
ek alam ghar me sajana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Mana hai umr abhi kam, maa mujhe karna hai matam..(2)
mujhe zanjeer dilana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Mujhko jo khana khilana, thanda pani jo pilana..(2)
karbala yaad dilana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Zikr e sarwar ho mera kaam, gunje duniya me mera naam..(2)
nauhakhwan mujhko banana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Jo wila se mujhe roke, jo aza pe mujhe toke..(2)
aise logo se bachana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Aaye jab aisa zamana, jab mere sehra sajana..(2)
nauha akbar ka padhana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Ye nahi maa ko nasihat, ye hai bus joshe aqeedat..(2)
iska maqsad hai batana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Hai khuda se yahi hajat, rakh meri maa ko salamat..(2)
jisne is baat ko maana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Manqabat zille raza ki, ye jo farha ne sunayi..(2)
ye hai bachpan ka tarana
mujhe maulai banana, aye meri maa..(3)


Comments

Popular posts from this blog

Abbas Kate Haaton Ka Ejaz Dikha Do

Hum Ali Ke Deewane

Bekason Ke Madadgar Maula Ali