Hum Ali Ke Deewane

Ham Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Qaar daar raahon par muskurakar chalte hain

Kya samajh ke yeh duniya hum peh zulm karti hai
Ham woh hain ke dil jinke mowth se behalte hain

Humto khud parte hain aag mein Ali kehkar
Baaz log Hyder ke naam he se jalte hain

Aap aur hum kya hain kya bisaat hai apni
Naam-e- Murtuza lekar ambiya sambhalte hain

Zikre Murtuza cheda kya bura kiya mein ne
Aap is tarha pehloo kis liye badalte hain

Daaman-e-Ali jinke haath mein nahin hota
Woh Quda raseeda bhi ho ke haath malte hain

Aaj leke jaayega kuch na kuch to Kirmani
Sa-ile-Ali bhi kya qaali haath talte hain

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Abbas Kate Haaton Ka Ejaz Dikha Do

Bekason Ke Madadgar Maula Ali