Jisne Maula Ali Ko Pukara Nahi
Jisne maula Ali ko pukara nahi
Uska dunya mein koee sahara nahi
Rotiyan gar na dey Ahl-e-bayt-e-Nabi
Ay farishto tumhara guzara nahi
Jiska maula hoon main uske maula Ali
Jo Ali ka nahi wo hamara nahi
Qum may mimbar bana kar ye bole Nabi
Ye hai mimbar Ali ka tumhara nahi
Sirf maula Ali ke ye kirdaar hain
Zer kar ke bhi dushman ko mara nahi
Ghar saja kar pareshan rahe raath bhar
Ek taara Khuda ne utaara Nahi
Jao ab jaake baaghe fidak main raho
Ghaasibo baage jannat tumhara nahi
Jis mein zikr-e-Ali Murtuza gar na ho
Wo ibadath Khuda ko gawara nahi
Poet: unknown
Comments
Post a Comment