Mujhe Molai Banana
Aise parwan chadhana mujhe maulai banana, aye meri maa Mujhko dena ye khazana mujhe maulai banana, aye meri maa Maa mujhe khoob padhana, aur namazi bhi banana..(2) aur tabarra bhi sikhana mujhe maulai banana, aye meri maa Kar du duniya ko mai qaael, aise maula ke fazael..(2) mujhe lori me sunana mujhe maulai banana, aye meri maa Maa mujhe jab bhi sulana, marsiye nauhe sunana..(2) Ya Ali kehke jagana mujhe maulai banana, aye meri maa Aaye jab aath moharram, to mere waaste paiham..(2) ek alam ghar me sajana mujhe maulai banana, aye meri maa Mana hai umr abhi kam, maa mujhe karna hai matam..(2) mujhe zanjeer dilana mujhe maulai banana, aye meri maa Mujhko jo khana khilana, thanda pani jo pilana..(2) karbala yaad dilana mujhe maulai banana, aye meri maa Zikr e sarwar ho mera kaam, gunje duniya me mera naam..(2) nauhakhwan mujhko banana mujhe maulai banana, aye meri maa Jo wila se mujhe roke, jo aza pe mujhe toke..(2) aise logo se bachana mujhe...