Hum Ali Ke Deewane
Ham Ali ke deewane haadeson mein palte hain Qaar daar raahon par muskurakar chalte hain Kya samajh ke yeh duniya hum peh zulm karti hai Ham woh hain ke dil jinke mowth se behalte hain Humto khud parte hain aag mein Ali kehkar Baaz log Hyder ke naam he se jalte hain Aap aur hum kya hain kya bisaat hai apni Naam-e- Murtuza lekar ambiya sambhalte hain Zikre Murtuza cheda kya bura kiya mein ne Aap is tarha pehloo kis liye badalte hain Daaman-e-Ali jinke haath mein nahin hota Woh Quda raseeda bhi ho ke haath malte hain Aaj leke jaayega kuch na kuch to Kirmani Sa-ile-Ali bhi kya qaali haath talte hain